na sah sakunga gham-e-zat go akela main kahan tak aur kisi par karun bharosa main hunar wo hai ki jiyun chand ban kar aankhon mein rahun dilon mein qayamat ki tarah barpa main wo rang rang ke chhinte pade ki is ke baad kabhi na phir nae kapde pahan ke nikla main na sirf ye ki zamana hi mujh pe hansta hai bana hua hun khud apne liye tamasha main mujhe sametne aaya bhi tha koi jis waqt dayar o dasht o daman mein bikhar raha tha main ye kis tarah ki mohabbat thi kaisa rishta tha ki hijr ne na rulaya use na tadpa main pada rahun na qafas mein to kya karun aakhir ki dekhta hun bahut dur tak dhundlaka main bahut malul hun ai surat-ashna tujh se ki tere samne kyun aa gaya sarapa main yahi nahin ki tujhi ko na thi umid aisi mujhe bhi ilm nahin tha ki ye karunga main main khak hi se bana tha tu kash yun banta ki us ke hath se girte hi tut jata main