gunjta shahron mein tanhai ka sannata to hai be-kasi ka ham-nawa ab tak wahi saya to hai tutti jati hain ummidon ki zanjiren magar thokaren khane ko majburi ka ek sahra to hai chand kya niklega khwabon ki andheri raat hai dur tak tara khayalon ka magar chamka to hai budhe sarkash zar-gari mein rahzanon ke sath hain inqalab-e-nau ka wo pindar ab tuta to hai in khatibon ka tilism-e-lan-tarani tod de is hujum-e-be-nawayan mein koi aisa to hai qissa-e-adam ki talkhi zindagi ke sath hai jannaten lakhon bana kar aadmi tanha to hai shor hai dubin hazaron azmaten tarikh ki kitni khamoshi se bahta waqt ka dhaara tu hai muskura kar zer-e-lab shayad yahi kahte hain wo lakh saudai sahi 'baqar' magar apna to hai
This is a great meri majburi shayari. True lovers of saudi shayari hindi will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this chilam ganja shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!