khul ke barasna aur baras kar phir khul jaana dekha hai hum se puchho!! un aankhon ka ek zamana dekha hai tum ne kaise man liya wo thak kar baith gaya hoga tum ne to khud apni aankhon se wo diwana dekha hai manzil tak pahunchen ki na pahunchen rah magar apni hogi tu rahne de waiz tera rah batana dekha hai dhul ka ek zarra na ude aawaz kare parchhain bhi maut bhi aa kar marti nahin thi wo virana dekha hai gulshan se hum sikh na pae waqti khushiyon ko jina jabki hum ne fasl-e-gul ka aana jaana dekha hai dil to sada hai teri har baat ko sachcha manta hai aql ne baaten karte tera aankh churana dekha hai lafz dawa hai lekin is ke sath hi kuchh parhez bhi hai lafz ke bais pal mein khona pal mein pana dekha hai