guzar ja rah-o-manzil se guzar ja mauj-o-sahil se

guzar ja rah-o-manzil se guzar ja mauj-o-sahil se
mohabbat ho to ye aasaniyan milti hain mushkil se

muqabil ho gaya nadan un ke husn-e-kaamil se
hamein ab tang aa kar hath uthana hi pada dil se

dil un ki rah mein hai phir bhi gham jata nahin dil se
mohabbat ka musafir be-khabar hai apni manzil se

tum ahl-e-dil nahin ho phir wafa ka lutf kya jaano
wafa ki intiha dil par wafa ki ibtida dil se

abhi to shauq ki rahon mein kho jaana bhi mumkin hai
ki ye rahen abhi mahfuz hain ilzam-e-manzil se

khalish aur wo bhi gham ki dard aur wo bhi mohabbat ka
shikayat karne wala tha dua nikli mere dil se

agar chahen to pahla hi qadam manzil pe ja pahunche
pareshan ho gae arbab-e-himmat qurb-e-manzil se

abhi tak zindagi mein iztirab-e-ishq baqi hai
abhi tak zindagi ki mauj ko nisbat hai sahil se

mujhe rah-e-talab ki azmaten uthne nahin detin
jo uthta hun to phir aage nikal jata hun manzil se

mohabbat ke hazaron raste tai kar ke aae hain
tamannaon ki manzil tak tamannaon ki manzil se

thahar ai mauj-e-shor-agin-o-shor-angez-o-shor-afza
abhi ek baat kahni hai mujhe yaran-e-sahil se

zahe ilzam-e-nazzara khusha anjam-e-nazzara
nazar se be-talluq dil nazar na-ashna dil se

mohabbat ne badal dala nizam-e-zindagi 'shahid'
na aasani se dil taskin pata hai na mushkil se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close