ye nafrat ka baghicha khak kar den chalo hum apna ghussa khak kar den kuchh ek kirdar itrane lage hain ye goya sara qissa khak kar den hamare paon ke chhaale na dekho hamein batlao rasta khak kar den hamin ne dasht se zamzam nikala jo hum chahen to dariya khak kar den hamein dar hai jinhen mansab mila hai kahin wo hi na naqsha khak kar den ye ek din apni kamzori banegi chalo sab fitna witna khak kar den mohabbat kis tarah sabit karen hum bata ab khud ko kitna khak kar den adab itna ki qadmon mein pade hain ana itni ki lanka khak kar den tujhe to khak kar hi denge ek din magar pahle ye rishta khak kar den