wo giri hai barq ki al-aman mere aashiyan-e-qarar par magar e'timad hai aaj bhi teri baat par tere pyar par meri sab duaen qubul hain mujhe aur kuchh nahin chahiye mere pas hai mai-e-gham-ruba mera sar hai zanu-e-yar par meri kaamyabi-e-ishq par ye fazaen kyon nahin jhumtin abhi raushni si hui thi kuchh abhi aae the wo mazar par yahi bandagi hai mere liye yahi sajda hai mere waste nazar utthi uth ke thahar gai teri khak-e-rahguzar par mujhe kya sataegi kashmakash main chaman ka nabz-shanas hun na khizan se mujh ko kabidagi na nigah meri bahaar par ye gulon pe kis ne sitam kya hua kaun ghunchon se be-adab koi gul-farosh na ho yahan hai shikan jabin-e-bahaar par ye nawazish-e-sitam-afrin wo udhar se ho ke guzar gae ki nigah bhi na utha sake meri hasraton ke mazar par yahi mera maslak-e-zist hai yahi mera mazhab-e-ain hai na khizan ki hajw likhi kabhi na kaha qasida bahaar par ye chamak utha bhi to ta-ba-ke ye rasa hua bhi to ta-kuja mujhe ilm-e-muddat-e-umr hai hansi aa rahi hai sharar par wahi apna 'bismil'-e-baada-kash jo mila bhi hai to kahan mila kabhi mai-kade ki fazaon mein kabhi aastana-e-yar par