kuchh bhi kar guzarne mein der kitni lagti hai barf ke pighalne mein der kitni lagti hai us ne hans ke dekha to muskura diye hum bhi zat se nikalne mein der kitni lagti hai hijr ki tamazat se wasl ke alaw tak ladkiyon ke jalne mein der kitni lagti hai baat jaisi be-mani baat aur kya hogi baat ke mukarne mein der kitni lagti hai zoam kitna karte ho ek charagh par apne aur hawa ke chalne mein der kitni lagti hai jab yaqin ki banhon par shak ke panw pad jaen chudiyan bikharne mein der kitni lagni hai