main kahan hun ki mera jism to saya hai mera ye haqiqat hai ki har khwab paraya hai mera ru-ba-ru aaine mein aks wo apna hi sahi khush hua hun ki mere ghar koi aaya hai mera tu mere ishq se inkar karega kaise khal-o-khad mein tere chehra ubhar aaya hai mera kyon mujhe band kiya hai sar-e-tah-khana-e-zist kuchh to malum ho kya jurm khudaya hai mera aag phaili hai kahan se mere chaaron jaanib kis ne ai mauj-e-hawa shahr jalaya hai mera sans lene ki jo koshish kabhi ki hai 'tariq' mazhaka khub hawaon ne udaya hai mera