in buton ki jo chah karte hain dil-o-din ko tabah karte hain hum jo huron se rah karte hain waizo kya gunah karte hain un se hum rasm-o-rah karte hain wo kharab-o-tabah karte hain kya uthaenge tere jaur raqib hum hain ye jo nibah karte hain mai-kashon ko bura na kah waiz kya ye tera gunah karte hain dekhna dam mein pesh-e-dawar-e-hashr faisla dad-khwah karte hain shauq se aao khana-e-dil mein aankhen hum farsh-e-rah karte hain shukr hai mujh ko apni bazm mein wo yaad ab gah gah karte hain dekhna hum raqib se mil kar dil mein us but ke rah karte hain dil mera aap hi hai khana-kharab aap ise kyon tabah karte hain bande tere hi ishq ke hain sanam hum khuda ko gawah karte hain hae jab mar chuka hun to wo ab nama apna siyah karte hain hum ko milta hai rizq be-minnat shukr-e-fazl-e-ilah karte hain in hasinon se itna kah do 'diler' tham len dil hum aah karte hain