haya bhi aankh mein waraftagi bhi badan mein pyas lab par khamushi bhi dariche band hon achchha hai lekin zaruri hai hawa bhi raushni bhi main waqif hun teri chup-goiyon se samajh leta hun teri an-kahi bhi pahan len lams ki aanchen kisi din pighal jae ye hadd-e-akhiri bhi kiya karti hai sajde mujh ko thokar muqaddas hai meri aawargi bhi tumhein kho kar bhi tum ko pa chuka hun mera hasil meri la-hasili bhi yahi ek mod tak aana bichhadna yahi qismat tumhaari bhi meri bhi