jaane de tuk chaman mein mujhe ai saba sarak kyun chhedti hai tu mujhe na-ashna sarak jaise andheri raat mein bijli chamak gai us rukh se shab gai jo wo zulf-e-dota sarak aasar-e-marg mujh mein huwaida hue magar jab pas se gae mere sab aashna sarak kahta hai waqt-e-naza mariz us ka us se yun lagne de meri aankh tu is dam zara sarak mayyat se meri guzre hai jis dam wo baad-e-qatl lasha kahe hai khun se daman bacha sarak poron pe dore bandhe hain us par shuur ne ta us ke funduqon ki na jawe hina sarak shab ikhtilat se wo mere kya khafa hua had se gai ziyaada jo angusht-e-pa sarak dhadke hai be-tarah se ye pahlu mein raat din darta hun zakhm-e-dil ki na jawe dawa sarak karne de mere khun ko aaram khak mein ai shor-e-hashr us ko abhi mat jaga sarak ye kya ghazab hua ki na khanjar laga na tir pahlu se aaphi aap mera dil gaya sarak khwab-e-adam se main abhi chaunka hun dur ho ai subh-e-gham na apna mujhe munh dikha sarak pichhe mere pada hai tu kyun ghar ki rah le ruswa kare ga kya mujhe bahr-e-khuda sarak kya be-haya hai jo nahin talta tu 'mushafi' sau bar main ne tujh ko diwane kaha sarak