guzra hai is ada se kuchh jata hua ye sal bhi dil ko khushi ke sath sath hota raha malal bhi kitni kathin rasai thi tere dayar tak meri dekhte hi jise pukara tu use nikal bhi hum ko bulao tum kisi roz kisi nae nagar gar ye nahin durust aa sakte ho sahi-wall bhi tala laga zaban par khwahish-e-wasl bhi gai puchhe jo bazm-e-ghair mein aap hamara haal bhi wo bhi zamana tha tu aa jata tha shab se peshtar kaisi ye shab hai aaj aaya na tera khayal bhi mujh ko pata hai 'shobi' sab haal mere sitaron ka khalwaton mein guzarna hai aata hua ye sal bhi