guzre hain hum pe aise bhi lamhe kabhi kabhi dil ro pada hai sun ke latife kabhi kabhi sahra se tishnagi ka sabab puchhte ho kya dariya bhi hum ne dekhe hain pyase kabhi kabhi gum-karda rah-e-zist sahi is ke bawajud puchhe hain hum se khizr ne raste kabhi kabhi ai na-khuda-e-waqt na itna ghurur kar dube hain sahilon pe safine kabhi kabhi har dil ko aap aaina-khana na jaaniye patthar se sakht hote hain shishe kabhi kabhi 'sumbul' hua hai ye bhi ki ghazlon ke rup mein nazil hue hain hum pe sahife kabhi kabhi