jab bhi aata hai wo mere dhyan mein phul rakh jata hai roshan-dan mein ghar ke baam-o-dar nae lagne lage husn aisa tha mere mehman mein tera chehra aaine ke samne aur aaina nae imkan mein aks tere teri khushbu tere rang bas yahi kuchh hai mere saman mein jism-o-jaan ko taza mausam mil gae jal gaya main tere aatish-dan mein jo sitara parwarish pata raha wo mila hai pyar ke rujhan mein titliyan kamre ke andar aa gain ek phul aisa bhi tha gul-dan mein aandhiyon mein bhi udata hai mujhe kaun hai ye mere jism-o-jaan mein dhadkanen teri hain be-awaz kyun kya nahin hun main tere imkan mein jab darakht angnaiyon ke kat gae dhup utar aai hai har dalan mein ajnabi khwabon ka surat-gar hun main aur main gum hun teri pahchan mein