guzre nahin aur guzar gae hum is bhid ka kaam kar gae hum ye sahn gawah hai hamara is ghar mein bhi dar-ba-dar gae hum daryaft ko zakhm ki chale the tarikh ki dhaar par gae hum is baat pe ab ulajh rahe hain baqi the to phir kidhar gae hum taswir se bahar aae kuchh der ghar bhar ko udas kar gae hum warna ye zamin mit chali thi bar-waqt idhar udhar gae hum khali the aur is qadar the khali bas ek nigah se bhar gae hum the kaun-o-makan makan se bahar bahar kisi shor par gae hum