is dil ki imarat mein tum jalwa dikha jaana ya nur-e-mubin ban kar aankhon mein sama jaana apna to shikasta-dil ek khana-e-viran hai qadmon se ise apne aabaad bana jaana ushshaq ke marqad par hasrat yahi kahti hai tum fitna-e-mahshar ho soton ko jaga jaana un khak-nashinon se milna tumhein lazim hai ushshaq ke kuche mein bhule se tu aa jaana muddat se piyasa main baitha hun tere dar par ek jam mohabbat ka khud aa ke pila jaana is gardish-e-qismat ne sar-gashta kiya yan bhi ai khizr-e-rah-e-ulfat tum rah bata jaana aae na sar-e-baalin gar mere dam-e-murdan ab bahr-e-dua dilbar marqad pe to aa jaana kya kya na jafa mujh pe hoti hai shab-e-furqat ulfat ne teri mujh ko paband-e-wafa jaana ye ishq 'jamila' ka ai khizr-e-rah-e-ulfat mahbub ke jalwe ko asrar-e-khuda jaana