hanso to rang hun chehre ka rowo to chashm-e-nam mein hun tum mujh ko mahsus karo to har mausam mein hun chaha tha jise wo mil bhi gaya par khwab bhare hain aankhon mein ai mere lahu ki lahar bata ab kaun se main aalam mein hun log mohabbat karne wale dekhenge taswir apni ek shua-e-awara hun aaina-e-shabnam mein hun us lamhe to gardish-e-khun ne meri ye mahsus kiya jaise sar pe zamin uthae ek raqs-e-paiham mein hun yar mera zanjiren pahne aaya hai bazaron mein main ki tamasha dekhne wale logon ke matam mein hun jo likkhe wo khwab mere ab aankhon aankhon zinda hain jo ab tak nahin likh paya main un khwabon ke gham mein hun