is tarah ahd-e-tamanna ko guzare jaiye un ko khamoshi ke lahje mein pukare jaiye ishq ka mansab nahin aawaza-e-lafz-o-bayan aankhon hi aankhon mein har ek shikwa guzare jaiye dekhiye ruswa na ho jae kahin rasm-e-junun apne diwane ko ek patthar to mare jaiye aaine pe jo guzarna ho guzar jae magar aap yunhi zulf-e-barham ko sanware jaiye jazba-e-dil ka taqaza hai ki bazi jit lun ehtiyat-e-ishq kahti hai ki haare jaiye ho sake to dil ki haalat khud hi aa kar dekhiye ghair ki suniye na kahne par hamare jaiye kuchh to lutf-e-lams-e-aghosh-e-talatum chahiye ta-kuja 'akhgar' kinare hi kinare jaiye