hai wahi ek mere siwa aur main donon tanha hain mera khuda aur main hai khulasa meri zindagi ka yahi ek nakaam harf-e-dua aur main tirgi khatm karne ki ummid par raat bhar hi jala ek diya aur main kaun jitega is jang mein dekhiye ho gae hain muqabil hawa aur main aai barkha ki rut mere dukh bantne roe phir sath mil kar ghata aur main ek taraf wo hai aur us ke sare sitam ek taraf sabr ki intiha aur main kyun saza phir milegi kisi aur ko hain gunahgar meri ana aur main tishnagi ki alamat ke taur par do hi nam aaenge karbala aur main