tere jaisa mera bhi haal tha na sukun tha na qarar tha yahi umr thi mere ham-nashin ki kisi se mujh ko bhi pyar tha main samajh raha hun teri kasak tera mera dard hai mushtarak isi gham ka tu bhi asir hai isi dukh ka main bhi shikar tha faqat ek dhun thi ki raat-din isi khwab-zar mein gum rahen wo surur aisa surur tha wo khumar aisa khumar tha kabhi lamha-bhar ki bhi guftugu meri us ke sath na ho saki mujhe fursaten nahin mil sakin wo hawa ke rath par sawar tha hum ajib tarz ke log the ki hamare aur hi rog the main khizan mein us ka tha muntazir use intizar-e-bahaar tha use padh ke tum na samajh sake ki meri kitab ke rup mein koi qarz tha kai sal ka kai rat-jagon ka udhaar tha