habs ke aalam mein mahbas ki faza bhi kam nahin rauzan-e-diwar-e-zindan ki hawa bhi kam nahin shorish-e-zanjir-e-pa par hain agar pabandiyan halke halke jumbish-e-zanjir-e-pa bhi kam nahin gar sar-e-maqtal na ho zikr-e-butan ka hausla hujra-e-tarik mein yaad-e-khuda bhi kam nahin rahraw-e-shab kyun charagh-e-mah se daryuza-gari raat andheri ho to jugnu ki ziya bhi kam nahin lakh mohkam ho hisar-e-marhabi-o-antari ghaziyon ka bazu-e-khaibar-kusha bhi kam nahin ahd-e-gul se sazish-e-baad-e-khizan bhi kam na thi shakh-e-gul se sozish-e-barq-e-bala bhi kam nahin kya hua gar waiz-o-mulla ke dil hain be-charagh gosha-e-masjid mein nanha sa diya bhi kam nahin lazzat-e-baada hai jaan-parwar magar ai ahl-e-zauq zahr-e-ashk-o-qatra-e-khun ka maza bhi kam nahin