had ho koi to sabr tere hijr par karen aakhir hum ek haal mein kab tak basar karen ahl-e-nazar wasia gar apni nazar karen zarre naqab ulat ke tujhe jalwa-gar karen fitrat har e'tibar se hai ham-nawa-e-husn aamin tum ko to duaen asar karen tum ne to apne husn ko mahfuz kar liya hum kis ke sath umr-e-mohabbat basar karen 'simab' hum mein aib o hunar khud hain be-hisab hum kya kasi ke aib o hunar par nazar karen