wo baat baat mein itna badalta jata hai ki jis tarah koi lahja badalta jata hai ye aarzu thi ki hum us ke sath sath chalen magar wo shakhs to rasta badalta jata hai ruten visal ki ab khwab hone wali hain ki us ki baat ka lahja badalta jata hai raha jo dhup mein sar par mere wahi aanchal hawa chali hai to kitna badalta jata hai wo baat kar jise duniya bhi mo'tabar samjhe tujhe khabar hai zamana badalta jata hai