main wo aansu ki jo mala mein piroya jae tu wo moti ki jise dekh ke roya jae bahr ko bahr na samjhe to khatawar bane ab taqaza hai safine ko duboya jae ye baja hai ki amanat mein khayanat na karo ehtiyatan hi sahi zakhm ko dhoya jae thak gae nazron ke panw bhi siyah jangal mein ab zara der thahar jao ki soya jae aaj ki raat ba-har-haal na sona 'shahid' har ghadi aankh mein ek khar chubhoya jae