hadd-e-nazar tak virane hain aabaadi ka nam nahin kis raste pe qadam badhaun koi rasta aam nahin jalta registan hai har-su tund hawaen chalti hain dhu dhu karti hai do-pahri subh nahin hai sham nahin sari umr guzari main ne khun ke aansu pi pi kar khushiyon ke do ghunt pila de aisa koi jam nahin tanha hun main is duniya mein koi nahin hai mere sath kis ko ab aawaz lagaun kuchh bhi to anjam nahin dar dar ja kar dastak di hai par ek dar bhi wa na hua har-su khamoshi hai 'bismil' kahin se kuchh paigham nahin