jadui mahaul mein har lene wali chhatriyan malgaji rut dudhiya hathon mein kali chhatriyan hum ne jin qadron ko samjha tha khayali chhatriyan thin wahin tufan mein kaam aane wali chhatriyan gham ke sahra ki tapish khud jhelni hogi hamein bewafa ahbab hain sae se khali chhatriyan aaj khud hi be-tahaffuz hain zamane ke khuda waqt wo hai khud hain sae ki sawali chhatriyan teri furqat ki tapish kuchh in se kam hoti nahin jam-o-raqs-o-naghma hain sab dekhi-bhaali chhatriyan ye hasin chehre ye gore sanwi chikne badan ye ghamon ki dhup mein kaam aane wali chhatriyan kat hi lega bashar dukh ki bhari barsat ko tan kar jhuti umidon ki khayali chhatriyan dhup ke mare huo kohsar ke daman mein aao patta patta saeban hain dali dali chhatriyan