hadis-e-dil bayan karne mein kitni der lagti hai kisi ko raazdan karne mein kitni der lagti hai koi hai jis ke dil mein aaj tak hum ghar na kar pae kisi ko mehrban karne mein kitni der lagti hai wo jadugar ki surat jhut ko sach kar dikhate hain kisi ko bad-guman karne mein kitni der lagti hai koi to kashmakash hai dil mein shayad hashr hai barpa dulhan ko warna han karne mein kitni der lagti hai kisi bewa ke dil se ye haqiqat puchhiye ja kar ki bachchon ko jawan karne mein kitni der lagti hai bulandi kha gai meri jawani tum ye kahte ho zamin ko aasman karne mein kitni der lagti agar ye dil sitamgar ko sitamgar man le 'talib' to dil ko ham-zaban karne mein kitni der lagti hai