hijr ka din hai ye guzarne de ai gham-e-yar sham dhalne de umr thodi hai pyas sadiyon ki shabnami rut sakun se marne de us ne manga hai mujh se ek tohfa ab to jaan hi ye nazr karne de ho jo mumkin to abr barsa de hiddat-e-gham mein warna jalne de jazba-e-shauq lo bhi dega use paikar-e-sabr mein to dhalne de koi lamha to ho sakhi aisa kasa-e-did ko jo bharne de phir uwais-ul-hasan main ye chahun zindagi baam se utarne de