kar-gar dast-e-jafa-kar rahega kab tak garm ye zulm ka bazar rahega kab tak aah-o-fariyaad se ek hashr bapa hai har samt khunfishan khanjar-e-zardar rahega kab tak khak-e-maqtal ke sulagte hue har zarre mein khun-e-mazlum sharar-bar rahega kab tak asr-e-azadi-o-jamhur mein haq-go insan nara-e-haq se sar-e-dar rahega kab tak qalb-e-zardar mein sarkubi-e-muflis ke liye taish ka lashkar-e-jarrar rahega kab tak nai tahzib pe chhaya hua zardar nizam khun-e-muflis ka kharidar rahega kab tak sang-e-khara ki tarah ahl-e-siyasat ka wajud hail-e-jada-e-fankar rahega kab tak zor-e-shamshir se karne ko zamin ke tukde aadmi barsar-e-paikar rahega kab tak taqat-o-zar ke khudaon ke jahan mein insan dekhna ye hai ki khuddar rahega kab tak ho ke bebak har ek raaz-e-haqiqat kah de dam-e-baatil mein giraftar rahega kab tak jis ne ulti hai abhi chehra-e-mazi se naqab dil mein wo jazba-e-bedar rahega kab tak