the jo mashhur wafaon mein sitamgar nikle

the jo mashhur wafaon mein sitamgar nikle
jin se khatra tha mohabbat ke payambar nikle

koshish-e-zabt na kaam aai to kuchh bas na chala
chand qatre mere ashkon ke samundar nikle

waqt kyon khak-nashinon ka udata hai mazaq
shayad in mein koi ham-auj-e-sikandar nikle

e'tiraf is ka har ek daur mein duniya ne kiya
ki jo muflis the wahi dil ke tawangar nikle

zulmat-e-sham-e-shab-e-gham ka ye aalam hai 'khaliq'
munh chhupae hue jaise mah-o-akhtar nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close