makin ko makan se nikaliye ye nuqta aasman se nikaliye hamare sath kijiye mukalima to khud ko darmiyan se nikaliye khazana rahne dijiye zamin mein hawas ko dastan se nikaliye nami jagah bana rahi hai aankh mein ye tir ab kaman se nikaliye hamari chup ko sunte jaen ghaur se hamari baat kan se nikaliye fazaon mein panap rahi hain sazishen so baal-o-par bhi dhyan se nikaliye samay guzar raha hai sans rok kar sadi ko imtihan se nikaliye nikal na jae baat dusri taraf lakir ek zaban se nikaliye kharab ho rahi hai jins-e-arzu ye mal ab dukan se nikaliye