hae kafir tere hamrah adu aata hai kya kahun pas ye tera hai ki tu aata hai nikhat-e-itr mein bas-bas ke jo tu aata hai apne hamrah liye rashk ki bu aata hai na-tawani se nahin aah-o-fughan ki taqat nala tham tham ke mera ta-ba-gulu aata hai chaunk padta hun shab-e-wada tere dhoke mein har qadam par yahi khatka hai ki tu aata hai dukhtar-e-raz ke qadam tak to rasai malum mohtasib sang-e-dar-e-mai-kada chhu aata hai zakhm-e-dil par kabhi tanka na lagaya tum ne hum to samjhe the tumhein khub rafu aata hai