yun hi kab tak meri taqdir mein bal aaenge aaj ki baat pe kahte ho ki kal aaenge panw jab jazb-e-mohabbat ke nikal aaenge wadi-e-husn-o-jawani mein khalal aaenge chal tu le kar hamein ai masti-e-zauq-e-sajda munh pe khak-e-dar-e-mahbub hi mal aaenge hausla shart hai haalat se mayus na ho raste khud hi chatanon se nikal aaenge karwaten leta hai jab dard-e-mohabbat dil mein koi chupke se ye kahta hai sambhal aaenge jab bahaar aaegi phulon pe shabab aaega tazkire meri tabahi ke nikal aaenge ab na aaega koi sani-e-'shadan' 'anwar' go bahut ahl-e-sukhan ahal-e-ghazal aaenge