hae wo log jo the ruh-o-rawan-e-dehli

hae wo log jo the ruh-o-rawan-e-dehli
ta-dar-e-khuld gae kar ke guman-e-dehli

kharra musa saiqa ki hai tajalli paida
buqa-e-nur hai har ek makan-e-dehli

chandni-chowk ko sina kahen aur qila ko sar
masjid-e-jame ko thahraen miyan-e-dehli

lam-e-dehli alam-o-hae ka shosha-e-parcham
ab to baqi hai faqat nam-o-nishan-e-dehli

kya koi fitna hai ai charkh-e-sitamgar baqi
chashm-e-khurshid se kyun hai nigran-e-dehli

gham-e-barbaadi-e-dehli mein bajae mai-e-nab
khun-e-dil pite hain ab baada-kashan-e-dehli

ye mohabbat hai mujhe yan se ki baad az murdan
rauzan-e-qabr se bhi hun nigran-e-dehli

kya ajab hai ki yahi khuld mein boli jawe
ahl-e-jannat ke pasand aae zaban-e-dehli

sina 'ahsan' ka jo chira to ba-qaul-e-rizwan
dil-e-khun-gashta pe hai dagh-e-zaban-e-dehli


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close