kanton ki mayyat mein badi der raha hai jis shakhs ki baaton mein gulabon ka asar hai manzil abhi aage hai ki chhod aaya hun pichhe muddat se safar mein hun mujhe itni khabar hai shohrat ki talab hai ki hai izhaar ka chaska ye kasb-e-sataish hai ki phir kasb-e-hunar hai tu baala hai rutbe mein so main man raha hun haalanki teri baat ka panw hai na sar hai ai yar bata kuchh to mohabbat ki haqiqat makdi ka ye jala hai ki phir dam-e-nazar hai ikhlas hi bais tha talluq ka hamare lekin wo mere hamdam-e-derina kidhar hai main yar samajhta hun zamana tujhe ham-raaz tu ek zamane se idhar hai na udhar hai kis mod pe le aai hai ab teri mohabbat jab tere bichhadne mein nafa hai na zarar hai 'jazib' nahin khilte hain bagulon mein saman to aur tu ki tamannai-e-eajaz-e-nazar hai