jab gham-e-dost rag-o-pai mein sama jata hai tab kahin ja ke duaon mein asar aata hai dil mera jab bhi shab-e-tar se ghabraata hai shama si aa ke koi dil mein jala jata hai sochta hun ki tera dard na kho jae kahin ab to har gham meri tanhai se takraata hai tum nahin wo bhi nahin wo bhi nahin wo bhi nahin kaun hai phir jo gharibon pe sitam dhata hai dhup hi thik hai is chhanw se jo gum kar de kam se kam dhup mein saya to nazar aata hai raat ke baad hi aati hai sahar ai yaro gham jise milte hain rahat bhi wahi pata hai log kahte hain kabhi pi ke to dekho 'akhtar' garmi-e-mai se har ek dard pighal jata hai