hawas mein to na the phir bhi kya na kar aae ki dar par gae hum aur phir utar aae ajib haal ke majnun the jo ba-ishwa-o-naz ba-su-e-baad ye mahmil mein baith kar aae kabhi gae the miyan jo khabar ke sahra ki wo aae bhi to bagulon ke sath ghar aae koi junun nahin saudaiyan-e-sahra ko ki jo azab bhi aae wo shahr par aae batao dam guru chahiye tumhein ab kya parindagan-e-hawa khak par utar aae ajab khulus se rukhsat kiya gaya hum ko khayal-e-kham ka tawan tha so bhar aae