har-chand ki saghar ki tarah josh mein rahiye saqi se mile aankh to phir hosh mein rahiye kuchh us ke tasawwur mein wo rahat hai ki barson baithe yunhi is wadi-e-gul-posh mein rahiye ek sada tabassum mein wo jadu hai ki pahron dube hue ek naghma-e-khamosh mein rahiye hoti hai yahan qadr kise dida-wari ki aankhon ki tarah apne hi aaghosh mein rahiye thahrai hai ab haal-e-gham-e-dil ne ye surat masti ki tarah dida-e-mai-nosh mein rahiye himmat ne chalan ab ye nikala hai ki chubh kar kante ki tarah pa-e-talab-kosh mein rahiye aasuda-dili ras nahin arz-e-sukhan ko hai shart ki dariya ki tarah josh mein rahiye