tasawwur mein mere kaba na ab but-khana aata hai nazar har samt mujh ko jalwa-e-jaanana aata hai hua hun aisa be-khud ek but-e-kafir ki ulfat mein ki kabe mein bhi ab mujh ko nazar but-khana aata hai haqiqat mein numud-e-husn hi hai ishq ka bais numaish husn ki hoti hai jab parwana aata hai ye duniya-e-mohabbat bhi ilahi kaisi basti hai jo aata hai yahan wo hosh se begana aata hai gareban chaak daman purza purza khak-aluda nai saj-dhaj nirali shan se diwana aata hai shab-e-gham maut aati hai na wo aate hain ai 'fazil' labon par dam nikal jaane ko betabana aata hai