harza-sarai bain-e-sukhan aur badh gai sasta hua to qimat-e-fan aur badh gai jaana ki dost hi tha masiha ke rup mein dil par rakha jo hath jalan aur badh gai jaane kahan se aai thi kal raat ko hawa khidki khuli to ghar mein ghutan aur badh gai pahle hi hath-paon hasin kam na the magar rang-e-hina se un ki phaban aur badh gai yaum-e-jaza mein fitna-e-mahshar ki khair ho pahle hi jo thi sarw-badan aur badh gai sahra ko dekhne ka to bachpan se shauq tha dil ko laga liya to lagan aur badh gai wo to mere manane se 'akhtar' bigad gae mathe pe ek gahri shikan aur badh gai