hamin to hain jo tere sath chalte rahte hain wagarna log to raste badalte rahte hain kabhi zamane ka gham hai kabhi tumhaara gham ghazal sunane ke pahlu nikalte rahte hain nazar to aate hain ab phul-phal darakhton par ye aur baat ki hum hath malte rahte hain ye apni marzi ke malik hain in se kuchh na kaho purane log hain girte sambhalte rahte hain ajab udasi mein ab ke guzar rahe hain din jo kaam aaj ke hain kal pe talte rahte hain koi charagh sar-e-rahguzar bhi raushan ho munder par to diye sab ki jalte rahte hain jhulasti ret pe ek bund hi uchhaal kabhi ye barishon mein to dariya ubalte rahte hain na aae wo lab-e-izhaar tak kabhi 'faruq' ki jazbe dil mein to aksar machalte rahte hain