hum ko junun kya sikhlate ho hum the pareshan tum se ziyaada chaak kiye hain hum ne azizo chaar gareban tum se ziyaada chaak-e-jigar mohtaj-e-rafu hai aaj to daman sarf-e-lahu hai ek mausam tha hum ko raha hai shauq-e-bahaaran tum se ziyaada ahd-e-wafa yaron se nibhaen naz-e-harifan hans ke uthaen jab hamein arman tum se siwa tha ab hain pasheman tum se ziyaada hum bhi hamesha qatl hue aur tum ne bhi dekha dur se lekin ye na samajhna hum ko hua hai jaan ka nuqsan tum se ziyaada jao tum apne baam ki khatir sari lawen shamon ki katar lo zakhm ke mehr-o-mah salamat jashn-e-charaghan tum se ziyaada dekh ke uljhan zulf-e-dota ki kaise ulajh padte hain hawa se hum se sikho hum ko hai yaro fikr-e-nigaran tum se ziyaada zanjir o diwar hi dekhi tum ne to 'majruh' magar hum kucha kucha dekh rahe hain aalam-e-zindan tum se ziyaada