mazid ek bar par bar-e-giran rakkha gaya hai zamin jo tere upar aasman rakkha gaya hai kabhi tu chikh kar aawaz de to jaan jaun mere zindan mein tujh ko kahan rakkha gaya hai meri nindon mein rahti hai sada tishna-dahani mere khwabon mein ek dariya rawan rakkha gaya hai hawa ke sath phulon se nikalne ki saza mein bhatakti khushbuon ko be-aman rakkha gaya hai magar ye dil bahalta hi nahin go is ke aage tumhaare baad ye sara jahan rakkha gaya hai