har ek manzil har ek sahil har ek tufan se takrai meri wahshat gharaz kul aalam-e-imkan se takrai yakayak rah gai duniya-e-arman sar-nigun ho kar nigah-e-be-kasan jab bhi rukh-e-taban se takrai hansi aa hi gai us dam mujhe jabr-e-mashiyyat par kabhi jab talkhi-e-ghurbat mere wijdan se takrai yakayak rah gai duniya-e-arman sar-nigun ho kar nigah-e-be-kasan jab bhi rukh-e-taban se takrai raha kotah-damani ka shikwa sar-ba-sar mujh ko teri nazar-e-karam jab wusat-e-arman se takrai tajjub hi raha gham-khwariyon ko sakht-jaani par meri iza-pasandi jab gham-e-darman se takrai hum us dam khairiyat puchhenge waiz se ki jab koi nigah-e-kufr-saman khirman-e-iman se takrai rahi 'sahir' hamesha bandagi mein shan-e-yazdani main wo banda hun jis ki bandagi yazdan se takrai