tera wajud teri shakhsiyat kahani kya kisi ke kaam na aae to zindagani kya hawas hai jism ki aankhon se pyar ghaeb hai badal gae hain sabhi ishq ke maani kya azal se jari hai ta hashr hi chalega safar samay ke samne dariyaon ki rawani kya ye manta hun main mehman khuda ki rahmat hai ke tum ne dekhi nahin meri mezbani kya khumar-e-ishq bhi utrega roz-e-wasl ke baad rahegi apni bhala umr bhar jawani kya bina lade hi jo tu mushkilon se haara hai ragon mein teri lahu ban gaya hai pani kya khushi ki chah mein kuchh gham uthane padte hain gulon ki khar nahin karte pasbani kya