hai baal-o-par mein wahshat si be-samt udanen bharti hun apne andar ke jangal mein gum ho jaane se darti hun phir aas ka dariya bahta hai phir sabza ug ug aata hai phir dhup kinare baithi main ek khwab ki chhagal bharti hun kyon aag dahakti hai mujh mein kyon barish hoti hai mujh mein jab dhyan se milti hun tere jab tere man mein utarti hun kab mujh ko rihai milti thi nahaq jo qafas bhi tod diya baj uthti hain zanjiren si main panw jahan bhi dharti hun ek phul ki pati ka bistar ek os ke moti ka takiya titli ke paron ko odh ke main khwabon mein aan thaharti hun dil gham se rihai chahta hai aur wo bhi jite ji sahab phir tujh mein panah le leti hun phir khud se kinara karti hun hain nag ka phan kali raaten lamha lamha dasti jawen sau bar tadapti hun sahab sau bar main jiti marti hun