na koi aabla-pai na ghaw chahti hai hamari khana-badoshi padaw chahti hai sukut-e-dahr ragon mein utar na jae kahin ye thahri thahri tabiat bahaw chahti hai main ek faqir use de chuka hun kab ka talaq magar ye duniya ki mujh se lagao chahti hai hawa-e-bahr hawas mein thithurne wali ruh labon ki aag badan ka alaw chahti hai koi bhi shakhs pahunchta nahin kinare par ye nakhuda ki hai sazish ya naw chahti hai nai naweli dulhan ki hatheliyon ki tarah meri ghazal bhi hamesha rachao chahti hai