hai bais-e-sukun sukhan-war tumhaara nam leta hai is liye wo barabar tumhaara nam mujh ko yaqin hai tum bhi bahut muztarib rahe jab bhi liya hai main ne tadap kar tumhaara nam uthta hai jab tabahi-e-dil ka kabhi sawal aa aa ke thahar jata hai lab par tumhaara nam mere tamam sheron mein ek jaan si pad gai likkhi ghazal jo zehn mein rakh kar tumhaara nam kaise mitae mauj-e-hawadis tumhi kaho hai naqsh zehn-o-dil pe gul-e-tar tumhaara nam tahzib ke khilaf hai izhaar-e-ashiqi aata nahin hai is liye lab par tumhaara nam ye sirf walihana mohabbat ki baat hai meri sukhan-wari ka hai mehwar tumhaara nam had-darja jaan-gudaz hain yaadon ke silsile kaise 'sahar' bhulaega dilbar tumhaara nam