hum un ke dar pe na jate to aur kya karte unhen khuda na banate to aur kya karte baghair ishq andhere mein thi teri duniya charagh-e-dil na jalate to aur kya karte hamein to us lab-e-nazuk ko deni thi zahmat agar na baat badhate to aur kya karte khata koi nahin pichha kiye hue duniya jo mai-kade mein na jate to aur kya karte andhera mangne aaya tha raushni ki bhik hum apna ghar na jalate to aur kya karte kisi se baat jo ki hai to wo khafa hain 'nazir' kisi ko dost banate to aur kya karte