hai bazm-e-butan mein sukhan aazurda-labon se tang aae hain hum aise khushamad-talabon se hai daur-e-qadah wajh-e-pareshani-e-sahba yak-bar laga do khum-e-mai mere labon se rindan-e-dar-e-mai-kada gustakh hain zahid zinhaar na hona taraf in be-adabon se bedad-e-wafa dekh ki jati rahi aakhir har-chand meri jaan ko tha rabt labon se kya puchhe hai bar-khud ghalati-ha-e-azizan khwari ko bhi ek aar hai aaali-nasabon se go tum ko raza-jui-e-aghyar hai lekin jati hai mulaqat kab aise sababon se mat puchh 'asad' wada-e-kam-fursati-e-zist do din bhi jo kate tu qayamat tabon se